Thursday, December 30, 2010

Wajood ka Sawaal...

gar humne bataya naa hota...
tou sayad sab kuch yuhin naa hota...
sawal apne bajood ka gar humne utthaya naa hota...
tou java-ab sayad yuhin naa aaya hota...
mashroofiyat me bhi soch naa hoti...
bheed me thanhaai naa hoti...
samundar ki pyaas naa hoti...
ujaaloin ki talaash naa hoti...
tere aane ki aas na hoti...
jo bataya wo ek sawal tha...
javaab bhi sawal me hi mila...
gar wo raat naa hoti...
tou mulaakat naa hoti...
tab sayad ye baat bhi naa hoti...

Wednesday, December 29, 2010

Uljhe hue se shabd...

Chalo socha hai kuch naya likhunga....
apne kalam ki siyaahi se...
kuch kagazon ko bharunga....
sabdon ki chinta mujhe satane lagi ab...
kya soch raha hun...
aur kya likhunga....
vaakyon k sandarbh me kuch prasang bhi khade ho gaye....
aur ab saransh likhte hue sabdo k jaal me vaakya hi kahin kho gaye...
khade kiye the jo pemane likhne k liye...
unnki seema ghatti ja rahi hai...
siyahi sukhi bhi nahi aur....
sabdon ki chinta mujhe sata rahi hai....
ujlhe hue the jo sawaal wo suljhte nahi...
ab tou sawalon k javab humko uljha rahe hain...
soch me doob gaya kuch iss tarah ki...
subha se shaam ho gai...
naa likh saka jo likhne chala tha...
me shabdon ki mala ko pirone chala tha...