Saturday, October 16, 2010

chamakte hue sitare ki chahh...

gardishon me chamkte hue sitare ki chhah rakhta hun...
koi hai jisse apna banane ka khawb dil me pale hue rakhta hun...
raste kai hn manjil-e-humsafar ki taraf....
bas us raste pe chalne se me darta hun...
koi mujhe na mila,is baat ka gila nahi mujhe...
main tou keval usse pane ki chhah rakhta hun...
kosish hazar kii...
dil magar har baar haar gaya!
kismat ke haatho hamesha hi har baar mera chhana bekar gaya...
kyun aksar uski chhahat mujhe har baar us mukaam per khinch lati hai...
jahan per jindgi mujhe bahut door najar aati hai..
aksar jindgi ko door pa kar
me yahi baat apne aap se karta hun..
ki jo ho gya usse bhul kar ..
me jindgi ki ek nayi shuruat karta hun...
per jane kyaa baat hai us sitare me....
ki har baar me jan kar usse hi pane ki chhahat rakhta hun...
ussi jindgi me jine ki me phir baat karta hun...
kyunki me gardish me chamakte hue sitare ki chhahat rakhta hun............

0 comments:

Post a Comment