Sunday, October 24, 2010

Reat per Bante Nishaan....

reat per chalte hue kabhi socha nahi tha k itni door talak aaunga...
jo kabhi papa ki ungli thame tha...kabhi unkke bager bhi chal paunga...
lehre aati gai mere peroin tale mitti hatati gai...
jo reh gaye the wo mere kadmo k nishaan sirf...
kuch aur kadmo ko banate me itni door chala gya...
ab jab picche dekhta hun tou sirf reat hai...
jo nishan banaye the wo theek ussi tarah mitte jaise yaad nahi kab papa ki ungli thamna chhod tha....
kadmo k nishaan theek har rishte ki tarah the jo mene jindgi k safar me banaye the...
wo naa choote isliye mene chalna hi chhod dia..
mujhe kya pata tha k waqt ki raftaar essi hai k...
me tou rukaa per lehre naa rukii...
har rishta nisano ki tarah vilupt hota gya...
essa lagta hai mano jaise kabhi wo tha hi nahi...
aur sayad yahi vajah hai ki mene bhi chala suru kar dia...
nishano ko banana suru kar dia...

0 comments:

Post a Comment